Thursday, December 6, 2007

jab bhi aayi teri yaad, jaanam sham ke baad

jab bhi aayi teri yaad, jaanam sham ke baad,
kuch sanjida haalat hui, meri sham ke baad....

yun to har lamha teri yaad ka bozal gujra,
dil ko mehsoos hui teri kami, shaam ke baad.....

yun to kuch sham se pahele bhi thi yaadein teri,
ab to kuch aur badi dil ki lagi sham ke baad....

seene mein teri yaad ka, tufaan ubhar aaya hai
teri yaad mein tadap raha hoon, ye kaisa tufaan ubhar aaya hai.....

meri tadap ka soch kar, kuch aur soch na payegi tu
meri mohabbat mein saj kar, kuch aur kar na payegi tu.....

dil se niklein hain ye labz-e-azeez, teri mohabbat mein
sanwaar lena ihein dil mein, ye labz-e-azeez teri mohabbat ke....!!

No comments: